People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 5 *

Tera Chaand Chahera
Music: Anu Malik
Lyricist: Shaheen Iqbal
Album: Daraar(1993)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Daraar/Tera-Chand-Chehra/QlkY
tera chaand chehra banaane ki khaatir
hazaaro sitaaro ko toda gaya hai
tere is badan ko sajaane ki khaatir
to laakho gulaabo ko joda gaya hai

o tujhe dil ke najdik laane ki
khaatir tere naam se naam joda gaya hai
tere baajuo mein samaane ki khaatir
zamaane ki rasmo ko toda gaya hai
tera chaand chehra banaane ki khaatir
hazaaro sitaaro ko toda gaya hai

chura to liya hai mere dil ko lekin
ye dar hai kahin tu nazar na chura le
agar tujhko shaq hai mere pyaar par to
meri jaan lekar abhi aazma le
tere lab pe surkhi jagaane ki khaatir
kanval ki rago ko nichoda gaya hai
tujhe dil ke najdik laane ki
khaatir tere naam se naam joda gaya hai
tera chaand chehra banaane ki khaatir
hazaaro sitaaro ko toda gaya hai

tere haath mein vo lakiren to hongi
jinhen mere dil ka pata yaad hoga
vo dil jo tumhaari vafa ka ho kaayal
use aur duniya mein kya yaad hoga
teri yaad mein sab bhulaane ki khaatir
ye chehra saari duniya se moda gaya hai
tera chaand chehra banaane ki khaatir
hazaaro sitaaro ko toda gaya hai
zamaane ki rasmo ko toda gaya hai
kanval ki rago ko nichoda gaya hai
tumhaari nigaaho ko odha gaya hai
hazaaro sitaaro ko toda gaya hai
Kaafi Nahi Hai Chand
Singer: Asha Bhosle
Lyricist: Shaheen Iqbal
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Revolver-Rani/Kaafi-Nahi-Chaand/Ch0nVzd0YgM
Video:
Kaafi nahi hai chaand humare liye abhi
aakhe taras rahe hai tumahare liye abhi
hum tanha bekrar nahi intjar me
hum tanha bekrar nahi intjar me, intjar me
ye raat bhi ruki hai tumhare liye abhi
kaafi nahi hai chaand humare liye abhi

jage soye soye jaage manjar hai sab ye khawab ke
pucho aake muskarake dil main hu kya kya daab ke
badmashiya behisab angdaiya behijab
be bakt jajbad hai saare
hum tanha bekrar nahi intjar me
hum tanha bekrar nahi intjar me, intjar me
bechain har koyi hai tumahre liye abhi
kaafi nahi hai chaand humare liye abhi

saanse mere abhi tere madhoshiyo ki kaid me
hai jo thari bekrari jaane kaha jaa ke thami
sholo pe karke safar khusbu se hu tar batar
phulo me lipte hain saraare
hum tanha bekrar nahi intjar me
hum tanha bekrar nahi intjar me, intjar me
badmast waqt bhi hai tumhare liye abhi
kaafi nahi hai chaand humare liye abhi
Bol Rahi Hai Payal
Lyricist: Shaheen Iqbal
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Revolver-Rani/Bol-Rahi-Hai-Payal/ID0bVQcCTX8
Video:
sajan sajan sajan you are my sajan
sajan sajan sajan my only sajan
sajan sajan sajan you are my sajan
sajan sajan sajan my only sajan

bol rahi hai payal sanam
karde labo ko ghayal sanam
bol rahi hai payal sanam
karde labo ko ghayal sanam
pyasi hai ye nazar hai tujhse
banke baras ja baadal sanam
tu jaane jigar tu jaane ada
teri aashiki pe me hu fida

aadat hai tu meri tu nasha bhi
papi ha tu mera, devta bhi
dil me jigar me tu bas kahi ho
karta hai raat din dil gutargu
kabhi akhiya chura, kabhi akhiya mila
jalwa tera dekhe saara sila
sajan sajan sajan you are my sajan
sajan sajan sajan my only sajan

aa ghunght ki aad se yaar dilbar
kajal se naam likh mere dil par
shayar hai tu mera, shayari main
tujhpe teri kasam mar gayi main
jane man jane ja thujpe marta hai dil
love tujhe love aa karta hai dil

bol rahi hai payal sanam
karde labo ko ghayal sanam
pyasi hai ye nazar tujse
banke baras ja baadal sanam
tu jaane jigar tu jaane ada
teri aashiki pe me hu fida
Sulgi Hui Hai Raakh
Lyricist: Shaheen Iqbal
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Revolver-Rani/Sulgi-Hui-Hai-Raakh/AgsYVRN1Gnc
Video:
sulgi hui hai raakh dil me dabi
gujari hui aahat suni hai abhi
pal pal gale me jo chubati hai awaj si
sine me ataki hai ik chikh naraj si
ae jindagi kuch to bata hai ye hisab kya
chad gaya sarir pe tukda tukda khawab kya

kyo dard ke kato me pisne laga
sannaata lamho se ghisne lga
manba hai bikhra bahar taraf khwab ka
dariya hume paar karna hai tejaab ka
ae jindagi le chal waha dil ka jaha hai jaha
kyun bhala jinda rahe tishna tishna hum yaha

ye to vo duniya nahi
le ke chal dil ko vahi
chun lenge apni jamin aasman
sajish ki sahil se takraye na kastiya
khawahish ke hotho ko chhu na ske tarkhiya
ae jindagi le chal waha gum jaye mehrumiya
kyun bhala jinda rahe tishna tishna hum yaha
Zardozi Lamhe Odh Ke Dil
Singer: Mooin Sabri
Lyricist: Shaheen Iqbal
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Revolver-Rani/Zardozi-Lamhe/JQpedjEFBkI
Video:
zardozi lamhe odh ke dil
gham sare peechhe chhod ke dil
behne de hawaon mein jo behna chahta hai
kehne de suroor mein jo kehna chahta hai
naya nahi lekin naya lage ye din
naya nahi lekin naya lage ye din
zardozi lamhe odh ke dil

koi kachhi umra ka dil mein jo malal tha
aaj kahin wo kho gaya
khushi aur zindagi dono ek ho gayi
toota ho jaise dayara
jalne de jo lau dilon ki jalna chahti hai
chalne de yu neend mein wo chalna chahti hai
naya nahi lekin naya lage ye din
naya nahi lekin naya lage ye din
zardozi lamhe odh ke dil

aankhon ki munder se dil ke aasman tak
koi nahin hai teesrakhwabon ki waadiyan khwabon ke mor hain
khwabon ki hai aab-o-hawa
khone de yu khwab mein jo khona chahta hai
hone de dhuan dhuan jo hona chahta hai
naya nahi lekin naya lage ye din
naya nahi lekin naya lage ye din
zardozi lamhe odh ke dil

khali ho gaya hai dil
bhar gayi hain dhadkane
sazish hai ya hai ye saza
chal tez thi magar
peechhe reh gaye kadam
aakhir hai kya ye maazra
thagne de yu zindagi jo thagna chahti hai
lagne de jo chot dil pe lagna chahti hai
naya nahi lekin naya lage ye din
naya nahi lekin naya lage ye din

zardozi lamhe odh ke dil
gham sare peechhe chhod ke dil
behne de hawaon mein jo behna chahta hai
kehne de suroor mein jo kehna chahta hai
naya nahi lekin naya lage ye din
naya nahi lekin naya lage ye din
zardozi lamhe odh ke dil